Hazrat Umar Before Islam
Basat e nabi say chand saal pehly ki bat hai k jesy he zulqaida ka chand tuluh hua , jazeera numa arab ky mukthlif goshon se arab saandi sawaron ka aik toofan umand para jo har saal hajj say pehly ukaaz kay mailey me shirkat k leay aay thy ... maila mukthlif qubail ky tamashion se kacha kach bhara hua tha jinme makkah walon ki tadaad sub se ziada thi. batah ky maideen mein .. jehan ye maila lagta tha, arbon ne khaimey lga dey thy aur is ka aik hissa tidaarat k leay fix kr dea tha. es hissy me tajroon ne kheemu k samny apni dukanen saja li thin..jin me hijaazi items bht kam aur sham o yamen ki wo items ziada thin jo makkah aur us k qareeb o jawar k loog jaray aur garmi k safar k lea khared lay thy ...
dukanon par mardon aur aurton ka jumgatha tha jo apni apni psand ki chezen khareed rahy thy. aurten ziada tar kapron ki dukanon par thin. mukthlif rangon aur banawat k kapry uthaten, unhen ulat palat kar dekhtin aur sham o yamen ky bany huy in nazar fareeb kapron me sy jo psand ata , khareed laten. in me agar koi tarah daar haseena hoti to bay fikar nojawanu aur pukhta kar pardon ko apni taraf kench leti jo ba zahir to khareeddari k leay aaty lakin darasal kapron aur saman se ziada inhen es ka afraad e hussan o jamal se aasoda hony ka shoq bechain krta. in dukanon kay qareeb e aish o nishaat kay adday thy, jehan din raat aur khas kar raat ko khusosan no jawanon ki bheer lagi rehti.. in mehfilon me arab ki fitna farosh aurten b be takaluf shareek hotin, raat k romantic andheron me bsaat bachai jaati aur arab kay manchaly jaamo sagar se khelny lagty, nashy ki tarang kay sath sath zuban ki bageen b dheeli chor di jaatin aur har taraf fiqra baazi, cher chaar aur dhenga mushti ka bazaar garam ho jaata ... aur ye silsila aksar o beshtar un larion par kathm hota jinki aag sadion tak sulatki rehti..
Aik din mailay mein aik shair apna qaseedapni aur apna parhnny khara hua.. sub se phly us ne taashneeb sunai, phir fakhria andaz mein apni aur apny qabeely ki madah o toseef ki aur us k bad us qabeely ki hajoo me ashaar parhy jo gushta saal us qabeely se haar chuka tha.. shaironk charron taraf logon ka hajoom tha .. tashneeb par sub ne daad di, lakin mufahraat par kuch logon ne kushi se taalian bajai aur kuch naak bhun charhany lagy aur jab wo apny hareef ki muzmmat par aya tou muwafiq o mukhalif awazen tahseen aur shabash ki cheekhu se badal gyin aur talwaren mayaan k pardon se nikal aayin.. qaseeda kathm hony k bad aik kaar azmooda buzarg utha aur bhipray huy no jawanon ko samjha bujha kar unka josh thanda kea.qaseeda sun'ny walon me se aik nojawan b tha.. umar bees se kuch ziada , mazboot ksarti jisam, bala buland itna kay majma mein sub se ziada aur rang meda aur shahab.. shair qaseeda parh raha tha aur jo jhoom raha tha..goya sukhan fehmi ka bht e pakeeza aur buland mazaq rakhta hai .. logon ki cheekh o pukaar mein us ne koi hissa na lea.. es leay k esy shair aur es k qabeely ki tareef se koi garz nahi thi .. balky shayd wo dono qabeely us watan se kooson door k thy .. usy agar dilchasbi thi tou in ashaar se jo wo sun raha tha .. shair nay jab apna qaseeda kathm kea aur es aqal mand buzarg nay majma ko salamti aur aashti ki talqeen ki to wo bhi chup chaap betha raha.. hangama kathm hony k bad wo utha aur aur apny doston k sath chal para , wo is wadar taiz qadmon k sat chalny lga k sath chalny waly b hi hanpy ja rahy thy , unhu ne esy baton me lagan chaha kay shayd es trah is ki taftaar shayd kuch kam ho jay lakin ye koshish b bekar gayi.. bat ye thi k buland qaad ki wajha se uska qadam he lamba parta aur wo ahsata chal he nahi sakta tha... hoty hoty baton me shiddat aur sakhti peda hoti gayi .. nojawan chalty chalty tehar gya .. uski ankhen surkh ho gyin aur gaiz o gazab kay asar us k chehry se chalakny lagy .. aik gehra sans lay kar us ne apni moochon ko tao dea aur kaha
'' tum mujhy us chookry se darat ho? me kathaab ka beta nai agar hath milty he us ko zameen par na day mara//
ye keh kar wo pehly se b ziada taiz chalny laga... ab us k sathi chal nahi rahy thy balky door rahy thy ... ye tooli akhaary me ponchi jehan larai hona mumkin tha.. aur bht se sehatmand nojawan bhi thy .. us wakt aik larai jaari thi aur aik pehalwan doosry kay seny par betha tha.. Umar ibn e kathaab ko apni taraf aata daikh kar un logon ne rassa chor dea ur kushti larny waly bhi alag alag ho gay aur tamashion k sath khary ho gay.. unhen yakeen tha kay umar tamasha daikhny nahi balky kushti larny aya tha .. Umar ne hazreen par aik nigah daali aur .. us k chehry par abhi bhi gussay k asar thy ... us no jawan par nazar party he , ji sk bary me rasty me baten hoti aayi thin, muqably ki dawat dy dali ... nojawan muskarata hua aagy barha aur majmy kay ain darmyan me khara ho gya.. (jaari hai )

Comments
Post a Comment